Wallflower Vrati - Station

Har shaam ko ham padhne ke bad walk par Jaya karte station par , waha jyada traine nahi aati , main hamesha unke sath nahi rehta , Vrati ab pahle se khulkar jine laga tha wo khush tha or Saanvi bhi , wo ek doosre me khoye rahte isliye main unke sath jyada samay nahi rehta , maine Saanvi ko utna khush pahle kabhi nahi dekha tha kehte hai pehla pyaar me baat hi kuch or hoti hai . Mujhe bhi hua tha usi saal school me mere hi section me thi wo , wo bahut sundar thi uske wo lambe baal , ankhe jo taro ki tarah chamakti , hashi jisse mere andar utsah bhar jata or uska wo nazukta se chalne ka dhang wo mujhe bhaa jata , wo mere sapno me aaya karti ham ek sath rahkar kafi samay bitaya karte , uske liye maine kai sari kavitaye likh Dali thi sach me wo anokha yehsaas tha , uske bare me sochna, usko imagine karke dher saari fantasy banana ab sochta hoon to wo bewkoofi lagti hai khair pyaar me ham sab bewkoofi karte hai .

Mano sab sahi ho gaya tha bas Vrati jab akela rehta tab wo mayus ho jata isliye ham usse akela nahi chorte , December ka mahina tha , hawaye thandi chal rahi thi , sara mahaul ek dam sant tha , ek din jab maine Saanvi se uske Dance academy chorne ki wajah puchi to usne kaha wo academy band ho gayi wo apni baate kabhi bhi mujhe nahi bataya karti thi khudse . Ek shaam jab wo dono walk par the station par tabhi waha achanak se Krishna aa gaya usne un dono ko dekha or jaker Saanvi se bolna shuru kiya gusse me aakhir kya wajah thi ki tumne mujhse breakup kiya Saanvi ne mana kiya usne kaha main tumse bad me baat karungi abhi yaha se tum jao lekin usne ek na suni ye sab Vrati dekh raha tha usse Krishna ke bare kuch nahi pata tha , Krishna ne Vrati ki taraf badhte hue kaha isi ki wajah se na tumne mujhe chora main dekh raha hoon iska, ye tum log ko bahut pyara ho gaya hai, tabhi wo ye kehte hue or gussa ho jata hai Vrati ko ek punch de Marta hai chehre par uske chehre se khoon nikalne lagta hai, Saanvi Vrati ko sambhalti hai Krishna bewas hoker kehta hai Main tumhare bina nahi reh sakta batao main kya karu ki jisse tum phir se meri ho jao isne mujhse sab chin liya mera pyaar , mera dost sab, ab main kya karuu tabhi wo phir daurta hai marne ke liye Vrati ko or Saanvi use rokti hai , wo usse dakha deta hai jhor se tabhi achanak se ek train waha se guzarti hai or Saanvi jaker usse lad jati hai in dono ke chehre par khoon ke chitte aate hai , ye bas ek jagah par khade rahte hai mano inko hosh na ho inki aankhe khuli reh jati hai , Saanvi ki body jaker door gir parti hai , sabhi log waha aa jate hai or bheed lag jati hai, jab mujhe or maa ko yeh pata chalta hai tab ham daurte hai station ki or wo jaker baith kar uski body ke pass bilakh-bilakh kar rone lagti hai jab main usse dekhta hoon tab kuch samay ke liye Mera dimaag Kam karna band kar deta hai mere ankho se ashu nikalte hai lekin mere gale se rone ki aawaz tak nahi , Jab papa ko pata chalta hai wo sab kuch chorkar waha par aate hai or use waisa dekhkar behos ho jate hai , wo dono ussi ke pass baithkar ro rahe the puri raat , baaki ki raat mujhe yaad aati hai reporter, police , photographer or aashpas ke logo se ghiri hui thi . Uske baad kuch saalo tak main chain ki nind nahi so paya , sone par achanak se uski wo dead body mere samne aati or jab bhi train aawaz karti main uth jata hafte hue .

Uske bad Vrati ne kisi se baat nahi ki kuch saal bad jaker mujhe pata chala ki wo spirituality ki rah par chal pada usse Santi chahiye hogi , main sochta hoon kash main us din un logo ke sath rehta, kash maine wo pahli bar Vrati se baat karne ki koshish na ki hoti tab shayad aaj Saanvi mere sath hoti , maine usko kho diya uski Kami hamesha khalti thi kabhi kabhi lagta wo bagal ke room se mujhe bula rahi ho , bahar se abhi turant aayegi . Vrati ne bahut kuch jhela apne jeevan me , mujhe lagta hai usne sahi hi kaha tha sirf coincidence hote hai magic sabd ka matlab hai acha itefaaq .

Write a comment ...

Ram Krishna

Show your support

I will take you to another place where you feel different.

Write a comment ...