Wallflower Vrati - Expressway

Har shaam ko 5 se 7 tak main, Saanvi or Vrati padha karte , Vrati kuch jyada bolta nahi aise jaise mano uske andar hamesha koi na koi vichar chalta rahta, kabhi - kabhi to main or Saanvi usse hasate to wo kuch pal ke liye hasta phir uska chehra khile hue phool ki tarah khilta or kuch pal ke bad murjha jata, kuch to baatein thi jo usne apne dil me daba kar rakhi thi . Ek din shaam ke samay park me mujhe Prabhakar dada dikhe main unke pass jaker baith gaya wo akele baithe hue the maine unse poocha Vrati ke Mammi - Papa usse milne kyu nahi aate, unki ankho me ashu aaa gaye unhone chasma nikalte hue anshu ko pochte hue kaha wo nahi hai is duniya me, ye sunkar mujhe andar se rona aa gaya uske bad na hi Dada ne kuch bola, nahi main unse kuch puch paya or kuch keh saka, bas chupchap waha se chala aaya. Aate hue dekha ki Saanvi gate par khadi thi usne kaha Vrati aa gaya hai chalo padhne mera chehra ekdam se jhuka hua tha , mere hoth kap rahe the , ankhe bhari hui thi , Saanvi ne mujhse pucha kya hua lekin maine uski taraf dekha tak nahi or chala gaya study room me, dekha ki Vrati math ki book khol raha tha main jab gaya to usne meri taraf dekha or halka sa muskuraya, main apne aap ko rok nahi paya ro pada or jaker uske gale lag gaya, bolna chah raha tha par mere muh se ek shabd nahi nikala , daurte hue Saanvi gate band kar ke aayi , phir Vrati ne bola sant hone ko mujhe chair par baithaya or pucha kya hua ? Meri sans tez thi, maine usse kaha tumne kabhi bataya nahi ki tumhare Papa - Mummi nahi hai , Vrati ke ankho me ashu aa gaye lekin wo roya nahi , ye sunkar Saanvi bahar chali gayi terrace pe , Vrati ne mujhse kaha main nahi chahta ki main apna dard tum logo ke sath batke tum logo ko bhi dukhi karu main suffer kar raha hoon wo thik hai main nahi chahta meri wajah se tumhe bura feel ho . Idhar Saanvi bahar aashman ki taraf dekh rahi hai ek jagah par baithkar, uski ankho ki palke japhak nahi rahi , wo gehri soh me soch rahi hai - wo utne samay se kitni buri sthiti se guzar raha tha or hame uska koi andaza tak nahi , itne me ham aa gaye. Vrati ne usse mafi mangi usne kaha mujhe maf karna mujhe tum logo ko ye bat batani chahiye thi , ham dono wahi Saanvi ke sath baith gaye, kale badal charo taraf chahe hue the , tabhi Saanvi ne pucha kya hua tha unhe ? Vrati ke man me dukh ka athah Sagar tha jiski lahre pichle kuch samay se sant thi lekin ab nahi . Usne kehna shuru kiya - is saal January me hi wo dono Agra- Lucknow expressway se Agra ja rahe the kam ke silsile se wo dono architect the, raste me pura kohra chaya hua tha , tabhi ek aage truck thi jiski piche ki headlight kharab thi , Papa ne dhyaan nahi diyaa wo uss waqt mujhse baat kar rahe the main naraz tha ki wo mujhe Bina bataye chale gaye or tabhi car jaker truck se lad gayi unlogo ne seatbelt lagaya tha lekin accident ke waqt wo automatic unlock ho gaya , Papa ka face jaker steering se takraya or Maa ka shir jaker aage lad gaya, us waqt accelerator par Papa ka paw tha ,wo accident ke waqt or dab gaya , car phir ek bar jaker truck se lad gayi Papa ka shir phat gaya or Maa ki rhid ki haddi Tut gayi or un logo ki on the spot death ho gayi, ye kehte hue Vrati rone laga tabhi badal Garza or aasman me bijli chamki ham dono ne usse sant karaaya , phir baarish hone lagi . Kuch samay bad Vrati sant hua, ham barish me bhing gaye, hawa tez chal rahi thi us pal maine socha iske ashuon ko main nahi dekh pata acha hua bhagwan ne barish kar di .

Vrati ne bola Tum jante ho wo hamesha mujhe data karte the kyuki main akele rehta tha jyadatar wo mujhe dost banane ko kehte , bahar jaker khelne ko kehte , chinta karte mere bare me ki aage mera kya hoga lekin aaj wo nahi hai, mujhe Papa ki daat yaad aati hai , maa ko tang karna yaad aata hai or har raat ko main apne kamre me sota to wo aakar mujhe kambal ohda deti thi main soyaan nahi rahta bas janbhujkar aakhe band kiya rahta pata nahi main aisa kyu karta tha , aaj unhe bahut Miss karta hoon . Or barish dheere dheere ruk gayi ham tino kuch samay tak sant baithe rahe ek doosre se bina kuch bole, kuch samay bad jab ham niche Gaye or Tabhi maa market se aayi wo bhi barish ki wajah se udhar hi ruki hui thi unhone ham tino ko bheenge hue dekha to khub data, jab wo mujhe dat rahi thi to maine socha ki ek samay aayega jab main yehi baato ko miss karungaa main ye sochkar chahta tha maa ki baho me lipat jau lekin meri himmat nahi hui pata nahi kyu , ham sabne kapde badle , Vrati ko mere kapde fit aa gaye or shaam ko hamne video game khelaa . Aaj bhi jab wo din sochta hoon to andar se toot jata hoon, meri maa ko uske bare me pata tha lekin unhone hame kabhi bataya nahi isliye wo uski care karti thi jab bhi wo ghar par rahta tha , mere pita or uski maa kafi ache friend hua karte the . Us din jaker mujhe samaj aaya ki wo or uska parivar kin halaato se guzar rahe the, ab main sochta hoon usne sahi hi kaha tha magic nahi hota sirf coincidence hote hai .

Uske bad ham or karib ho gaye , kabhi kabhi main kuch der padhkar khelne chala jata tha to Vrati or Saanvi ek sath padhte the aise kai din bite, phir ek din main khelkar jaldi wapas aa gaya , to dekha Vrati kuch keh raha tha Saanvi se, usne bola - tum janti ho rat me mujhe bahut bure sapne aate hai, kai bar main apne Papa Maami ke sath walk par hota hoon, Suraj dhal rha hota hai tabhi achanak se wo dono gayab ho jate hai , Mausam pura kharab ho jata hai, andhera charo taraf cha jata hai or main apne hatho me dekhta hoon or mujhe khoon dikhte hai phir main niche gir jata hoon or mujhe pata nahi kaha ja raha hoon bas main gir raha hota hoon or mujhe Maami Papa ki chikhne ki aawaz sunai deti or main uth jata hoon pasine me bhinge hue , ye sab batate hue Vrati ghabra Raha hota hai wo kehta hai mujhe akelapan bahut lagta hai tabhi Saanvi kehti hai main hoon na tumhare sath, hamesha rahungi, iske bad wo dono ek dusre ki ankho me dekhte hai mahaul tham sa jata hai mujhe kuch ajeeb sa mehsoos hota hai , andar room me jane ki himmat meri nahi hoti , main bahar chala jata hoon , mere na rahne se wo or karib aa gaye the lekin yahi aage chal ke mujhe chot pahuchane wala tha .

Write a comment ...

Ram Krishna

Show your support

I will take you to another place where you feel different.

Write a comment ...